Marham New Heart Touching |Song With Lyrics |



Wo jo kabhi sardiyon mein dhoop si thi Garmiyon mein chhaaon moujudagi teri kahan gayi, Wo patjhad ke mausamon mein Ek haryali si jo laayi thi Wo baarishein kahan chali gayi, Ab aankhein meri tujhe dhoonda kare Tu mile na agar toh yeh roya karein. Faansle yeh kam karun, main kisi tarah Dard mein marham banu, main kisi tarah (x2). Mere maathe pe silwatein jo hain Aake inhein mita do na Aansoo mere bhatakte phirte hai Aake inhe panaah do naa. Kuch kami si hai, kuch nami si hai Aansuwon se bharaa hu main Band teri aankhein jab se hai, Saans roke khada hu main (x2), Zakam ko tere bharun, main kisi tarah Dard me marham banu, mai kisi tarah Jin diwaaron ko saath mein, Mere milkay tunay sajaaya tha, Un diwaron pe rang hi nahi, jo kabhi tera saaya tha. Mere aangan mein ek hansi teri Jab kabhi bhi khankti thi Gham sabhi door hotay thay, Mere saari khushiyan mehakti thi, Sari khushiyan mehakti thi. Saath me har dum rahoon, main kisee tarah Dard me marham banoon, main kisee tarah.

source